Friday, 1 November 2013

BAYAN NAHI KARTA

mai lafzo se kuchh bhi izhar nahi karta,
iska matlab ye nahi ki mai usse pyar nahi karta,
chahta hun use aaj bhi,
par uski soch me mai waqt bekar nahi karta,
tamasa na ban jaye kahin mohabbat me mera,
yahi soch kar haal-e-dil bayan nahi karta..

2 comments:

  1. Buhat udaas hain koi tere jaane se,
    Ho sake to laut ke aa kisi bahane se,
    Tu lakh khafa sahi magar ek baar to
    dekh,
    Koi toot gaya tere ruth jaane se.

    ReplyDelete
  2. Bahut chanchal bahut khushnuma si hoti hain
    BETIYA,,
    Nazuk sa dil rakhti hain
    masoom si hoti hain
    BETIYA,,
    Baat baat par roti hain nadan si hoti hai
    BETIYA,,
    Hai Rehmat se bharpoor KHUDA ki nemat Ye
    BETIYA,,
    Ghar bhi mehak uthta hai jab muskrati hai
    BETIYA,,
    Hoti hai ajib si kefiyt jab
    chhod ke chali jati hai
    BETIYA,,
    Ghar lagta hai suna suna
    kitna rula jati hai
    BETIYA,,baabul ki laadli hoti hai BETIYA,,
    Yeh ham nahi kehte
    Yeh toh “KHUDA” kehta hai
    ke
    Jab main bahut khush hota hu
    toh paida hoti hai BETIYA..
    dil se.............

    ReplyDelete