Monday, 4 November 2013

HOUSLA BHI NA THA

fasley aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
samne baitha tha wo par mera na tha,
wo khushboo ki tarah faila tha mere charo taraf,
mai use mehsus kar sakta tha par chhu sakta na tha,
raat bhar uski aahat kaan me gunjati rahi,
jhank kar dekha to gali me koi na tha,
ashq to moujood tha par wo tanhai ka tha,
aina bhi toda magar usme chehra uska na tha,
ye sab virania uske juda hone se thi,
yaad karke takleef thi par usko bhool jane ka housla bhi na tha..

VEERANA SA HO GAYA

Jo teri yaad aa gayi to mai diwana sa ho gaya,
apno me rehkar bhi begana sa ho gaya,
jab se tere khyalo me mai khone laga,
apne hi shahar me anjana sa ho gaya,
tere chehre ka deedar karke mai,
tere hushn ki shama ka parwana sa ho gaya,
jis par naaz tha mujhe khuda se bhi jyada,
wo mera pyar aaj afsana sa ho gaya,
teri yaado ko is tarah kaid kiya khud me,
ki dil - dil nahi raha ek tehkhana sa ho gaya,
jis aashiyane ko sajaya tha maine mahlo ki tarah,
tum bin wahi mera ghar aaj veerana sa ho gaya..

Friday, 1 November 2013

BAYAN NAHI KARTA

mai lafzo se kuchh bhi izhar nahi karta,
iska matlab ye nahi ki mai usse pyar nahi karta,
chahta hun use aaj bhi,
par uski soch me mai waqt bekar nahi karta,
tamasa na ban jaye kahin mohabbat me mera,
yahi soch kar haal-e-dil bayan nahi karta..

मेरे जैसी हो/ MERE JAISI HO

न वो परी हो, न परी जैसी हो,
मुझे तलाश है उसकी, जो मेरे जैसी हो,
मेरे दिल को पहचानती हो बस,
वो कोई भी हो, कहीं भी हो, कैसी भी हो,
अगर कभी रूठ जाऊं मैं उससे तो,
मुस्कुरा के मनाये वो ऐसी हो,
दुखो में हँसने का हुनर जानती हो,
एक ऐसी हमसफर जो समंदर की तरह गहरी हो,
उम्र भर वो मेरे साथ चले वो ऐसी हो,
मुझे तलाश है उसकी जो मेरे जैसी हो।


na wo pari ho, na pari jaisi ho,
mujhe talash hai uski jo mere jaisi ho,
Mere dil ko pehchanti ho bas,
wo koi bhi ho, kahin bhi ho, kaisi bhi ho,
agar kabhi ruth jaun mai usse to,
muskura ke manaye wo aisi ho,
dukhon me hasne ka hunar janti ho,
ek aisi hum safar jo samundar ki tarah gehri ho,
umar bhar mere sath chale wo aisi ho,
mujhe talash hai uski jo mere jaisi ho.