Samjhaya maine bahut apne dil ko,
Magar ye to kuchh bhi samajhta nahi hai,
Socha bahut ki use bhool jaun,
Par ye pagal dil usko bhulata kahan hai,
socha badal dun mai apni dunia,
Par pahle hi dunia meri badli hui hai,
Socha mai uski zindagi se chala jaun,
Par jaun kahan jab wo meri zindagi hai,
Ye zalim zamana hai dil se begana hai,
Is dunia se chhupa kar use kahan lekar jaun,
Chhod dun agar zamane me usko kahin to,
Uski judai ka gam VIKRANT kaise bhulaye,
Samjhaya maine bahut apne dil ko,
Magar ye to kuchh bhi samajhta nahi hai..