Saturday, 22 November 2014

अब तड़पाना छोड़ दे!


उससे कह दो अगर मोहब्बत नहीं,
तो मेरे ख्वाबो में आना छोड़ दे,
आजा जिन्दगी में मेरी,
या फिर रातो को जगाना छोड़ दे,
दूर  ही  रहे  मुझसे,
नजदीकियां बढ़ाना छोड़ दे,
इजहार मोहब्बत का कर दे,
या फिर मुझे देखकर मुस्कुराना छोड़ दे,
अगर नफरत है मुझसे तो,
फिर आँखे मिलाना छोड़ दे,
अपना हम सफर बना ले मुझको,
या सबको मेरे किस्से सुनाना छोड़ दे,
विक्रान्त पहले से ही घायल है,
उसे अब तड़पाना छोड़ दे।

Saturday, 16 August 2014

DIL KUCHH BHI SAMAJHTA NAHI HAI


Samjhaya maine bahut apne dil ko,
Magar ye to kuchh bhi samajhta nahi hai,
Socha bahut ki use bhool jaun,
Par ye pagal dil usko bhulata kahan hai,
socha badal dun mai apni dunia,
Par pahle hi dunia meri badli hui hai,
Socha mai uski zindagi se chala jaun,
Par jaun kahan jab wo meri zindagi hai,
Ye zalim zamana hai dil se begana hai,
Is dunia se chhupa kar use kahan lekar jaun,
Chhod dun agar zamane me usko kahin to,
Uski judai ka gam VIKRANT kaise bhulaye,
Samjhaya maine bahut apne dil ko,
Magar ye to kuchh bhi samajhta nahi hai..

Sunday, 3 August 2014

जीवन के ये २६ साल

जीवन के ये २६ साल
कब बीत गए कुछ पता नहीं
कुछ खोया है कुछ पाया है
कुछ खोना पाना बाकी है
कुछ लोग यहाँ पर हैं अपने
कुछ अपने होकर भी पराये हैं
जीवन के ये २६ साल
कब बीत गए कुछ पता नहीं
बचपन में लड़खड़ाते कदमो पर
अपने ही बने सहारे थे
अपनों ने इतना प्यार दिया
दुनिया में जीना सिखा दिया
जीवन के ये २६ साल
कब बीत गए कुछ पता नहीं,
कॉलेज में ज्यादा पढ़ न सका
कम ही शिक्षा हो पाई है
पर घर से जो संस्कार मिला
वो विक्रान्त के जीवन भर की कमाई है
जीवन के ये २६ साल
कब बीत गये कुछ पता नहीं
आज अपनों से हम दूर सही
पर अपने हर पल याद आये है
अपनों से यूँ ही दूर नहीं
कुछ जिम्मेदारी पूरी करने आये हैं
जीवन के ये २६ साल
कब बीत गए कुछ पता नहीं।

जन्मदिन का संदेशा

आज सुबह कुछ अलग रही
जैसे दादी मुझको थी जगा रही
उठकर देखा तो कोई नहीं
सिर्फ मेरी ही परछाई थी
उठते ही जो याद आया
वो मम्मी पापा की सूरत थी
घर से बाहर जब मैं निकला
तो सबकुछ मुझको नए लगे
जैसे सबकुछ मन ही मन में
मुझसे थे कुछ कह रहे
ये अदभुद बदलाव है क्यूँ
ये मुझे समझ में तब आया
जब मोबाइल पर अपनों का
जन्मदिन का संदेशा पाया
अपनों से जो प्यार मिला
उससे आँखे भर आयीं है
अपनों से विक्रान्त दूर सही
पर उनकी हर पल याद आई है।

Thursday, 19 June 2014

Aisa Kabhi Na Karna

Tum ruth jaoo mujhse,
Aisa kabhi na karna,
Mai ek najar ko tarsu,
Aisa kabhi na karna,
Mai puchh puchh haru,
Sou sou sawal karke,
Tum kuchh javab na do,
Aisa kabhi na karna,
Mujhse hi milke hasna,
Mujhse hi milke rona,
Mujhse bichhad ke ji lo,
Aisa kabhi na karna,
Tum chand bankar rahna,
Mai dekhta rahunga,
Kisi roj tum na nikalo,
Aisa kabhi na karna,
Tum chale jaoo jab,
Dekhu tumhara rasta,
Tum lout ke na aaoo,
Aisa kabhi na karna..

Tuesday, 17 June 2014

Pyar Karna Sikha Gaye

Na jane hum kyu itna pyar karte hain,
Unki har baat par etbaar kate hain,
In aankho me kuchh sapne liye,
Unse milne ka intjaar karte hain,
Har aahat par lage ki wo aa gaye,
Na jane kab wo dil me shama gaye,
Dekhte hi dekhte wo dil me jagah bana gaye,
Ehsas apne pyar ka wo mujhko dila gaye,
Mohabbat ke is dariya me wo mujhko ko duba gaye,
Ye unka aur unke pyar ka ehsas hi hai,
Jo mere patther dil ko pyar karna sikha gaye..

Tera Pyar Rahta hai

Is najar ko tera intjar rahta hai,
Dil tumse milne ko bekarar rahta hai,
Tum mujhse se milo na milo,
Fir bhi mere dil me tera pyar rahta hai,
Nikalte hain aasun jab mulakat nahi hoti,
Tut jata hai dil jab baat nahi hoti,
Teri kasam ye mere sanam,
Jab tu yaad na aaye aisi koi sham nahi hoti...

Monday, 2 June 2014

MAINE KAHA THA NA

Maine kaha tha na meri na ho paogi tum,
Agar dosti se ishq me tabdeel ho jaogi tum,
Maine kaha tha na mujhe rulaogi tum,
Agar meri aankho ka khwab ban jaogi tum,
Maine kaha tha na dard dekar jaogi tum,
Agar mere dil me apna ghar banaogi tum,
Maine kaha tha na juda ho jaogi tum,
Agar itna kareeb aaogi tum,
Maine kaha tha na meri jarurat ban jaogi tum,
Agar is tarah mujhko chahogi tum,
maine kaha tha na ek ek karke todogi tum,
Agar is tarah kasme khaogi tum,
Maine kaha tha na ek din mujhe thukraogi tum,
Agar itni aajeej ban jaogi tum,
Maine kaha tha na bahut jaldi badal jaogi tum,
Agar mousam ke mijaz ko apnaogi tum..

Friday, 30 May 2014

TERE PAAS NAHI


Pichhli raat ki baat thi,
Tanhai aur teri yaad thi,
Chand ne kaha koun hai?
Maine kaha koi sath nahi,
Bola zindagi kaisi hai?
Maine kaha koi khas nahi,
Bola fir kya chahte ho?
Maine kaha koi aas nahi,
Bola tumne pyar kiya hai?
Maine kaha kuchh yaad nahi,
Bola tumhare sath dhokha huaa hai?
Maine kaha aisi koi baat nahi,
Bola fir ek baat kahu?
Maine kaha koi etraj nahi,
Bola tumne pyar kiya hai,
Aur woh is samay tere paas nahi...

Thursday, 22 May 2014

लौट आना/ Lout Aana

Jab kabhi tera dil ghabraye to lout aana,
Agar tujhe meri yaad aaye to lout aana,
Kuchh waqt achchha gujra tha sath tere,
Wo waqt tujhe yaad aaye to lout aana,
Ek pal me dost ban gaye the hum,
Kabhi wo pal yaad aaye to lout aana,
Tanha raato me dhadka karte the dil,
Kabhi dil ki dhadkan tez ho jaye to lout aana,
Chupke-2 sari raat bate kiya karte the,
Wo bate kabhi yaad aaye to lout aana,
Log yahan sath nahi dete dil walo ka,
Jab koi bhi sath na de tera to lout aana.....

Wednesday, 21 May 2014

NAHI DEKHA


Hotho pe hasi dekh li par dil ke andar nahi dekha,
Aapne mere ke gamo ka samunder nahi dekha,
kitni khubsurat hai duniya ye dekha hai aapne,
Ji ji kar marne walo ka manjar nahi dekha,
Shishe ka makan to aapne bana liya hai dost,
Lekin waqt ke hatho ka patther nahi dekha,
Rishto ke tutne ka dard tum kya jano,
Wo lamha tumne kabhi ji kar nahi dekha,
Bhatakte hai roshni ki talash me jane kaha kaha,
Afsos apne ruh ke andar nahi dekha..

Tuesday, 20 May 2014

दवा लगती है।

Badli badli si jamane ki fiza lagti hai,
Raat bhi aaj ki aur raato se juda lagti hai,
Bhini bhini jo aati hai meri khidki se,
Mujhko ye tere shahar ki hawa lagti hai,
Roj mai ek naye tufan ki sair karta hun,
Dekhiye kis ki aaj mujhe dua lagti hai,
Log kahte hain ki wo aam si surat hai,
Par mujhe to sare jamane se juda lagti hai,
Jahar bhi de to mai pee jaun tasalli se,
Unke hatho se har cheez dawa lagti hai...

Monday, 19 May 2014

maaf karna


Hui hai mujhse khata,
Ho sake to mujhe maaf karna,
Hona chahta hun is duniya se lapata,
Ho sake to mujhe maaf karna,
Is akelepan ke andhere me kahin
 gum na ho jaun isliye ja raha hun,
Ho sake to mujhe maaf karna,
Koi sikwa shikayat ho mujhse to,
Ho sake to mujhe maaf karna.

Saturday, 22 March 2014

Dil Mein Basa Lon Tujhe

Dil To Kehta Hai Zamane Se Chhupa Lon Tujhe
Dil Ki Dharkan Ki Tarha Dil Mein Basa Lon Tujhe
Koi Ehsas Judai Ka Na Rehne Paye
Is Tarha Khud Mein Meri Jaan Chhupa Lun Tujhe
Tu Jo Rothe Mere Dil Ke Malik
Sari Duniya Se Khafa Ho Ke Mana Lun Tujhe
Jab Mein Dekhon Tere Chehre Pe Udasi Ka Sama
Bas Ye Chahun Kisi Tarha Hasa Lun Tujhe...!!!

Hum Bewafa to Nahi

Sab Kuch Hai Mere Pas Per Dil ki Dawa Nahi
Door wo Mujhse hai Per Main Khafa Nahi.
Maloom hai Ab bhi Pyar Karti hai Mujhe.
Wo Thora Ziddi Hai Magar Bewafa Nahi.
`
Rehte Hain Hum Door to Kya Hua,
Hum Juda to Nahi,
Baat Nahi ker Sakte to Kya Hua,
Hum Khafa to Nahi,
Na Milna Hamari Majboori Hai,
Per Hum Bewafa to Nahi…

Tuesday, 7 January 2014

Uski yado ko mai kaise bhulu

Uski yado ko mai kaise bhulu,
Kaise me raato ko jagna bhulu..
Uske chehre ki wo masumiyat,
Uski anko ka wo bholapan kaise bhulu..
Uski yadee har roj mar rahi hai mujko,
Uski wo natkhat addaye kaise bhulu..
Uske sath hui wo mulakate,
Wo pyari pyari batee kaise bhulu..
Mana ki chaha hai usne muje ek hawa ke jhoke ki tarha,
Par uski wo wafaye kaise bhulu..
Uske sath bitaye wo lamhe,
Uske kiye wo jhute wade kaise bhulu..
Muje pata hai wo bewafa hai,
Par us bewafa ko kaise bhulu..
Mar raha hu uske ishq me pal pal,
Kaise apne dil ko dhadakne se roku..
Uski yado ko mai kaise bhulu,
Kaise me ratoo ko jagna bhulu.

Monday, 6 January 2014

Kya Use bhi kabhi meri yaad aati hai

YE KUCH SAWAL HAI JO MEIN EK PERSON
SE POOCHNE CHAHTA HOON,
KI YE JO PAL MEIN
MEHSOOS KARTA HOON KYA USE BHI KABHI
AISA EHSAAS HUA HAI....
HAR LAMHE PE JISE MEIN YAAD KARTA
HOON, JISKE LIYE HAR ROZ KHUDA SE
FARIAAD KARTA HO,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI,
JISE MEIN AAJ BHI DIL MEIN BASAYE GHOOMTA
HOON,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI,
AAJ BHI JISKE HASTE CHEHRE KI YAADON SE
CHALTI HAI MERI SAANSE, AAB BHI JO KARTA
HAI KHAWABOON MEIN MEETHI BAATE,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI....
KABHI-2 U HI JISE YAAD KAR AANKH BHAR JATI
HAI,JISE SOCHTE SOCHTE DIL MEIN EK UDAASI
CHAA JATI HAI,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI,
JISKE PAIRO KI AAHAT KA AAJ BHI INTZZAR
HAI, JISKE DIL MEIN AAJ BHI KHUD KE LIYE
PYAR DEKHNE KO BETAAB HOON,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI,
AAJ BHI BARSAAT MEIN JISKE EHSAAS MEIN
JHOOM JATA HOON,JISKE PASS NA HOTE HUE
BHI USKI SANSOON MEIN SAMATA HUN,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI,
HAR PHOOL MEIN JISKI SOORAT DEKHNA CHAHTA
HOON, SARI RAAT CHAND SE JISKE BAARE MEIN
BATYATA HOON,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI,
JISKE BAARE MEIN KUCH GALAT NAHI SUN PATA
HOON, JISKE LIYE HAR KISI SE JHAGAD JATA
HOON....
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI,
JISKI KAHI HAR BAAT KO MAAN JATA HOON,
JISE KHUSH KARNE KI FIRAAQ MEIN KHUD KO
DUKHI KAR JAATA HOON,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI,
JISKI KHUSHIYON KE LIYE KHUD KO BARBAAD
KAR LIYA MAINE, JISKE GAMO MEIN KHUD KO
KAID KAR LIYA MAINE,
KYA USE BHI KABHI MERI YAAD AATI HAI....