Saturday, 26 October 2013

ek ajnabi se aaj mulaqat ho gayi

ek ajnabi se aaj mulakat ho gayi,
najre mili to ankhon se barsaat ho gayi,
dekha hua sa lagta hai chehra kabhi kahin,
yaado ki suni wadi me fir se sham ho gayi,
lab hil rahe the dil ki dhadkan gung ho chali,
wo muskura ke boli to meri baat ho gayi,
puchha jo usne q ho pareshan,
phursat ke lamho me yaado ki barat ho gayi,
kaise batun kaisi hai is samay halat meri,
jaise kisi gareeb ki khairat ho gayi.



Kya Likhun

Dil me jajbaat hajar, aankho me pyar beshumar,
soch raha hun kya likhun,
likhun ki tu mera jahan hai,
ya likhun ki tune banaya is patther ko insan hai,
likhun teri aankho me sach ki parchhai hai,
ya likhun ki mere har sans me teri khushbu samai hai,
likh kar agar jajbaat jata pata,
to dunia ka har panna kam pad jata,
pahli bar uljhan me pad gaya hun,
jo mera pyar jata sake wo alfaj chun raha hun,
sach to ye hai aise shabd bane hi nahi dunia me,
jo bata sake tu mere dil ka jahan hai,
fir bhi dil ne kaha ki aaj ek koshish karun,
soch raha hun ki ab aage kya likhun..

No comments:

Post a Comment