Tuesday, 29 October 2013

Jurm Hai

zindagi teri har ek ada jurm hai,
bebasi jurm hai housla jurm hai,
zindagi teri ek ek ada jurm hai,
ae sanam tere bare me kuchh sochkar,
apne bare me kuchh sochna jurm hai,
yaad karna tujhe mera ek jurm tha,
bhool jana tujhe dusra jurm hai,
kya sitam hai ki tere haseen shahar me,
har taraf gour se dekhna jurm hai,
bebasi jurm hai housla jurm hai,
zindagi teri har ek ada jurm hai.



bahut dukh hua

mujhe apne barbad hone ka gam nahi,
aapki barbadi ka suna to bahut dukh hua,
maine har pal tujhe yaad kiya,
jab tujhe apne yaad se gafil paya to bahut dukh hua,
ye zindagi, ye rounke, ye ranjise,
jab in sab me tujhe tanha paya to bahut dukh hua,
maine apne dil me sirf tujhe hi basaya,
tere dil me jab kisi aur ko paya to bahut dukh hua,
mai janta tha ki tu uske nasheeb me nahi hai,
fir bhi ishwar se tujhe manga aur nahi paya to bahut dukh hua......


Monday, 28 October 2013

याद आ रहा है/ yaad aa raha hai

याद आ रहा है वो पल,
जब मिले थे हम कल,
रुका था सारा शमा,
झुका था सारा आशमा,
हम थे अपनी कश्ती में,
तुम भी थे अपनी मस्ती में,
फिर हमारी ज़िंदगी मे तुम आये,
ज़िन्दगी बदली तुम कुछ ऐसे छाए,
उस समय हम समझ न पाए तुम्हारी आहट को,
पर जाना है तुम्हारी चाहत को,
याद आ रहा है वो पल,
जब रुके थे तुम्हारे लिए कल,
फिर बिताये कुछ पल ऐसे,
जो याद आयेंगे ज़िन्दगी भर ऐसे,
आएंगे आंखों में हल्के से आंसू,
न रहेंगे फिर दिल पर काबू,
याद आ रहा है वो पल,
जब बिछड़ने के लिए मिले थे कल।



yaad aa raha hai wo pal,
jab mile the hum kal,
ruka tha sara sama,
jhuka tha sara aasama,
hum the apni kashti me,
tum bhi the apni masti me,
fir hamari zindagi me tum aaye,
zindagi badli tum kuchh aise chhaye,
us samay hum samajh na paye tumhari aahat ko,
par aaj jana hai tumhari chahat ko,
yaad aa raha hai wo pal,
jab ruke the tumhare liye kal,
fir bitaye kuchh pal aise,
jo yaad aayenge zindagi bhar aise,
aayenge aankho me halke se aansoo,
na rahenge fir dil par kabu,
yaad aa raha hai wo pal,
jab mile the bichhadne ke liye kal...

Saturday, 26 October 2013

Tanhai ka aalam

Apni tanhai ka aalam tujhe batau kaise,
apni barso ki tadap chhupau kaise,
raha nahi jata tere bina ab,
mai apne dil ko samjhau kaise,
na jane kaisi kashish hai tujhme,
ab mai apne jajbaat rok pau kaise,
kuchh aisi aas hai tujhse,
ab apni ummido ka gala ghot pau kaise,
bada dil nasheen hai ehsaas tera,
mai is ehsaas se bahar aau kaise,
pata nahi ye kaisa hai diwanapan,
is diwanepan se alag ho pau kaise,
bade pyar se sajaya hai maine tera har sapna,
is haseen sapne ko tod pau kaise,
apni tanhai ka aalam tujhe batau kaise.

ek ajnabi se aaj mulaqat ho gayi

ek ajnabi se aaj mulakat ho gayi,
najre mili to ankhon se barsaat ho gayi,
dekha hua sa lagta hai chehra kabhi kahin,
yaado ki suni wadi me fir se sham ho gayi,
lab hil rahe the dil ki dhadkan gung ho chali,
wo muskura ke boli to meri baat ho gayi,
puchha jo usne q ho pareshan,
phursat ke lamho me yaado ki barat ho gayi,
kaise batun kaisi hai is samay halat meri,
jaise kisi gareeb ki khairat ho gayi.



Kya Likhun

Dil me jajbaat hajar, aankho me pyar beshumar,
soch raha hun kya likhun,
likhun ki tu mera jahan hai,
ya likhun ki tune banaya is patther ko insan hai,
likhun teri aankho me sach ki parchhai hai,
ya likhun ki mere har sans me teri khushbu samai hai,
likh kar agar jajbaat jata pata,
to dunia ka har panna kam pad jata,
pahli bar uljhan me pad gaya hun,
jo mera pyar jata sake wo alfaj chun raha hun,
sach to ye hai aise shabd bane hi nahi dunia me,
jo bata sake tu mere dil ka jahan hai,
fir bhi dil ne kaha ki aaj ek koshish karun,
soch raha hun ki ab aage kya likhun..

Aansoo

haste hue aankho me kyun aa jate hain ye aansoo,
yun khushi ko adhura sa bana jate hain ye aansoo,
dard itna hai saha, khali ho gaya samundar ashkon ka,
jane kahan se aankho me bhar jate hain ye aansoo,
khush hun mai, koi sikwa nahi jamane aur taqdeer se,
meri is baat ko jhootha kyun bana jate hain ye aansoo,
shayad khabar hai inko bhi, is kadar tanha hun mai,
tanhai me mera sath nibha jate hain ye aansoo,

hum to yun hi jiye ja rahe the

Zindagi me do minute koyi mere pas na baitha,
aaj sab mere pas baithe ja rahe the,
koyi tohfa na mila aaj tak mujhe aur aaj phool hi phool diye ja rahe the,
taras gaye hum kisi ke hath se diye vo ek chote se rumal ko aur aaj naye naye kapde odhaye ja rahe the,
do kadam sath na chalne ko tayar tha koyi,
aur aaj kafila banakar ja rahe the,
Aaj pata chala ke ''MAUT''
itni hasin hoti hai. Kambhakt
"HUM"
to yuhi jiye ja rahe hai.


6 Baate 6 Baato Ko Khatam Kar Deti Hai.

1-Sorry-Galti Ko,

2-Dukh-Zindagi Ko,

3-Ghussa-Rishte Ko,

4-Khushi-Dukh Ko,

5-Saath-Gam Ko,

6-dhokha-Dosti.!



ek soch chhupa hota hai,
jab koi kisi se kehta hai "MAJAK THA YAAR"
ek feeling chhupi hoti hai,
jab koi kehta hai "MUJHE FARK NAHI PADTA"
ek dard chhupa hota hai,
jab koi kehta hai "it's ok"
ek jarurat chhupi hoti hai,
jab koi kehta hai "MUJHE AKELA CHHOD DO"
ek gehri baat chhupi hoti hai,
jab koi kehta hai "PATA NAHI"
ek samundar chhupa hota hai baato ka,
jab koi "KHAMOSH" rehta hai......

Friday, 25 October 2013

Kitab hun mai

Kanto ki sez pr hi aksar gulab khilte hai,
andhero ko cheer kar hi aaftab niklte hai,
na ghbrana kabhi mushkilo se dost,
kyoki aag se khelne wale,chingariyo se kahan darte hai.



Zindagi To Sabhi ke Liye Wahi RanGeen kitaab Hai,
Fark Hai To Bus Itna ki,
Koi Har Panne ko DiL Se Padh Raha Hai
aur
koi Bus Panne PaLat Raha Hai.



Bindas Muskurao Kya Gum hai.
Zindgi me Tension Kisko Kam hai.
Yaad krne Wale to Bahut hain
Apko,
Dil se 'TANG' Krne wale to sirf HUM Hain.


1 chinti 1 hathi par baithkar ja rahi thi,
raste me ek kachha pul pada to chinti boli bhaiya aap paar kar loge na, nahi to mai utar jaun.



Ajnabi dunia me akela khwab hun mai,
sawalo se ghira ek javab hun mai,
jo na samajh sake unke liye koun?
jo samajh sake unke liye kitab hun mai.



Hum dosto ko bhulate nahi hai,
magar ye baat jatate nahi hai,
dosto ko hamesha rakhte hai yaad,
hum bhulane ke liye dost banate nahi hai....

Life is much like FACEBOOK

Sun is happy..Moon is angry..Why..?Because,Moon is missing uand Sun is wishing u.A special Good morning.Have a wonderfull day.



Memories are very crazy sometimes.!
They leave us alone when we are in a crowd.!
But, when we are alone, they come to us as a crowd.!



A father asked his daughter:-who do you love more, me or your husband?
the best reply given by the daughter:- I don't know really.
But when i see you, i forget him.
But when i see him, i remember you.



Night Has Gone and the MOON too.SUN has Arrived with the SKY blue.Open your Beautiful EYES,There is a SMS for you.



life is much like FACEBOOK
people will like your problems
and comment, but no one going to solve,
because
everybody seems so busy in updating their own status.



you regularly text your friends,
they do nothing reply you.
but if you text them from new number,
everyone will reply that- who are you?
people have time for unknowns, but not for knowns.

kami to rahegi

Har nami mei kuch kami
to rahegi
Ankhe thodi shabnami
to rahegi
Zindagi ko aap kitna bhi
saawariye
Bin hamare koi na koi
kami to rahegi.




Dosti Ek Dil ka Naata He, Jo Badi ibaadat Se Nibhaya Jata He.
Isme Duriya Ho To Koi Parwah Nahi.
Kyunki Dosto Ko Aankho Me Nahi Dil Me Basaya Jata He.




dhadkan ne dil se kaha-

tum chand ki chahat karte ho,
tum kuchh kuchh pagal lagte ho,
wo door falak par rahti hai,
tum yahan jamin par baste ho,
sitare uske humdam hai,
kyun baat nahi tum samajhte ho,
wo pariyo ki shahjadi hai,
aur tum aam si surat rakhte ho.




tum khafa ho gaye to koi khushi na rahegi,
tere bina chirago me roshni na rahegi,
kya kahe kya gujregi dil par,
zinda to rahenge par zindagi na rahegi.



kaise mumkin hai khamoshi se fana ho jaun,
koi patther to hun nahi jo khuda ho jaun,
agar ijajat de jamana to mai ji lun ek khwab,
rishton ki bediya tod kar awara hawa ho jaun.



mai isliye apni khushiyo ko thukra deta hun,
qki aksar wo mujhe nahi milta jo meri khwahish ban jata hai..