Khwaabon Mein Aaoo
So Jaaoon Main..
Agar Tum Khwaabon
Mein Aaon...
Kho Jaaoon Main
Aagar Tum Yaadon Mein Aaon...
Jaagi Nazar Aur Mai Soya
Har Pal Sanam Tum Nazar Mein Jhilmilaaon
So Jaaoon Main
Aagar Tum Khwaabon Mein Aaon...
Meri Khushi Mein Shaamil Raho Tum
Iss Zindagi Mein Shaamil Raho Tum
Yun Toh Hai Laakhon Armaan Dil Mein
Mehfil Mein Jaan Bankar Raho Tum
Hothon Se Mere Shaam o Savere
Yun Hi Sanam Tum Muskuraaon
So Jaaoon Main
Aagar Tum Khwaabon Mein Aaon...
Banke Sitara Aankhon Mein Chamko
In Aati Jaati Saanson Mein Mehko
Bas Jaaon Aake Tum Meri Najar Mein
Dil Banke Mere Seene Mein Dhadko
Mai Tumko Chahun Aur Tum Mujhko Chaho
Kho Jaaoon Main Tum Agar Meri Yaadon Mein Aaon
So Jaaoon Main
Aagar Tum Khwaabon Mein Aaon...
No comments:
Post a Comment