Wednesday, 24 April 2013

Pehla Pyar Kon Bhulata Hai....



Zindgi Ka Pehla Pyar Kon Bhulata Hai ?
Yeh Pehli Baar Hota Hai,
Jab Koi Kisi Ko Khud Se Bharkar Chahta Hai,
Uski Pasand....Uski Khwahish,
Mein Khud Ko Bhul Jaata Hai,
Akele Mein Uska Naam Likh- Likh Mitata Hai,
Baat Karne Se Pehle Sochta Hai Kya Kehna Hai ?
Baat Hone Ke Baad Phir Bhi Kuch Reh Jaata Hai,
Hota Hai Khubsurat Kitna Pehla Pyar,
Naa Jaane Kyun Aksar Adhura Reh Jaata Hai

Kya likhon uske naam






Kya likhon uske naam
Jise sochoon subah aur shaam

Neeli jheel ka pani hai wo,
Mohabat ki ek kahani hai wo.

Pyar ke methy bol hai wo,
Har ek se anmol hai wo.

Wo asman ka badal hai,
Wo meri ankh ka kajal hai.

Mery man ki jeet hai wo,
Mery labon ka geet hai wo.

Chaman mein khilta gulab hai wo,
Chahat me likhi kitab hai wo.

Mere liye wo meri sanam hai
Jo toot na saky wo qasam hai.

Kya likhon uske naam
Jise sochon main subha aur sham.....!

Saturday, 20 April 2013

Suno Aik Baar


Suno Aik Baar
.
Mujhe har Pal tumhari Yaad aati hai,
.
Kabhi saanson k chalne Pe Kabhi dil k machalne Par,
.
Kabhi baarish barasne Pe Kabhi aankhen chalakne Pe,
.
Kabhi chanda nikalne Pe Kabhi sooraj k dhalne Par,
.
Kabhi shab k andheron mein
Kabhi din k saweron mein,
.
Kabhi Logon k meley mein Kabhi tanha akeley mein,
.
Tumhari bas tumhari sirf
tumhari yaad aati hai..''

Friday, 19 April 2013

Ada Mujhko bhulane ki

 
 
kabhi tum lout ke aao
Kabhi tum lout ke aao,

Mujhe bus itna samjhao,

Kahan se seekh li tumne,

Ada mujhko bhulane ki!

Tumhein mujhse shikwa tha,

Ya koi bhi shikayat thi,

Na ki koshish batane ki!

Bhala yun chor ke Apna,

Koi apno ko jata hai?

 Aise hi dukh ki barish mein,

Kya koi jeevan bhar rulata hai?

Abhi to rait geeli hai,

Gaye kadmon pe lout aao,

Mujhe bus itna samjhao,

Kahan se seekh li tumne,

Ada Mujhko bhulane ki...!!

Monday, 15 April 2013

Khwaabon Mein Aaoo



 
 So Jaaoon Main..
Agar  Tum Khwaabon Mein Aaon...
Kho Jaaoon Main
Aagar Tum Yaadon Mein Aaon...
Jaagi Nazar Aur Mai Soya
Har Pal Sanam Tum Nazar Mein Jhilmilaaon
So Jaaoon Main
Aagar Tum Khwaabon Mein Aaon...

Meri Khushi Mein Shaamil Raho Tum
Iss Zindagi Mein Shaamil Raho Tum
Yun Toh Hai Laakhon Armaan Dil Mein
Mehfil Mein Jaan Bankar  Raho Tum
Hothon Se Mere Shaam o Savere
Yun Hi Sanam Tum Muskuraaon
So Jaaoon Main
Aagar Tum Khwaabon Mein Aaon...

Banke Sitara Aankhon Mein Chamko
In Aati Jaati Saanson Mein Mehko
Bas Jaaon Aake Tum Meri Najar Mein
Dil Banke Mere Seene Mein Dhadko
Mai Tumko Chahun Aur Tum Mujhko Chaho
Kho Jaaoon Main Tum Agar Meri Yaadon Mein Aaon
So Jaaoon Main
Aagar Tum Khwaabon Mein Aaon...

Tanha







Wo pas hote to koi shararat krte
Unko le k baho me muhabbat krte
Dekhte unki aankho me nind ka khumar
Aur apni khoi hui neendo ki shikayat krte.



Ishq tujhse karta hoon, main zindagi se zyada....
Main darta nahi maut se, teri judaii se zyada....
Chahe to aazmale mujhe, kisi aur se zyada...
Meri zindagi me kuch nahi, teri mohabbat se zyada....



Kabhi Usko Bhi Meri Yaad Satai Hogi.
Apni Aankhon Mei Mere Khawab Woh Bhi Sajai Hogi.
Woh Jo Har Waqt Khayaalon Mei Basi Rehti Hai.
Kabhi To Woh Meri Bhi Yadon Mei Kho Gayi Hogi…



Aapki muskan hamari kamzori hai
Keh na pana hamari majboori hai
Aap kyon nahi samajhte is jazbaat ko
Kya khamoshiyon ko zuban dena zaroori hai
 
Zindgi Mili "Zara Si Thi"
Kuch Is Me Kami "Zara Si Thi"
Woh Roz Hoti Gayi Paas Mere.!!
Lekin Phir Bhi Dori "Zara Si Thi"
Chand Jaagte Jaagte So Gaya!
Abhi Raat Beeti "Zara Si Thi"
Mohabat Baant Di Usne apni  Zamane Mein
Lekin.!
Jo Mere Hisse Mein Aai Wo Mohabbat "Zara Si Thi" 
 
Aakhir Dil Apna Todna Pada Hame
Rukh Unse Modna Pada Hame
Itni Mohabbat Ki Unse Kya BtaaYe,
Unki Khusi K Liye Unhe Hi Chhodna Pada Hame 
 
Dil Ke Sagar Me Lehre Uthaya Na Karo,
Khwab Bankar Neend Churaya Na Karo,
Bahot Chot Lagti Hai Mere Dil Ko,
Tum Khwabo Mein Aa Kar Yu Tadpaya Na Karo…
 
Bhool kar to dekho ek baar Hume.
Zindagi ki har ek Ada tumse Ruth jayegi.
Jab bhi sochoge apno ke bare me.
Tumhe humari yaad zarur aayegi..
 
Hum ne chaha bhi to izhar karna na aaya,
kat gayi umr sari par hume pyar karna na aaya,
usne mangi bhi to judai mangi,
aur hune inkar karna na aaya. 
 

 
Zindagi Kis Tarha Beetaoge,
Pas Jab Apne Hame Na Paoge,
Din Me Tanhaiyaan Satayengi,
Raat Ko Choonk Kar Uth Jaoge,
Raat Bhar Neend Kyun Nahi Aati,
Tum Ye Khud Bhi Samjh Na Paoge,
Log Puchenge Is Tanhai Ka Karan,
Kya Chupaoge Aur Kya Bataoge,
Palken Har Baar Bheeg Jaengi,
Jab Kabhi Khul Ke Muskuraoge,
Maeri Yaaden Buhat Satayengi,
Jab Bhi Barish Me Bheeg Jaoge,
Khud Ko Tanha Na Paa Sakoge Kabhi,
Har Jagah Mera Hi Aaks Paoge,
Zindagi Kis Tarha Beetaoge,
Pas Jab Apne Hame na Paoge.


Main Jab Bhi Teri Yaadon
Ka Sahara Thaam leta Hoon...,

Bhula Deta Hoon Dard-o- Ghum 
Zara Aaram Leta Hoon....

Na Jaane Kon Sa Jazba
Mujhe Majboor Karta Hai...,

Main Aksar Be-khudi Main
Bhi Tumhara Naam Leta Hoon....

Yaqeen Karta Nahi Koi Bhi
Meri Be-gunahi Ka...,

Main Khud Chup Chaap
Apne Sar Pe Har Ilzam Leta Hoon...
.
Jub bhi koi baat mohabat ki karta hai....,
Dil mera yeh baar baar tarapta hai...,
kaise batau me ishq mein kya kya hota hai,
kaise ek aashiq har roz naye mout marta hai.
 

Sunday, 14 April 2013

zindagi



Ek ajab si paheli hai zindagi,
sabke saath hote huye bhi, akeli hai zindagi,
kabhi ek pyara sa armaan hai zindagi,
to kabhi dard se bharaa tufaan hai zindagi,
kabhi to gulon se bharaa gulistan hai zindagi,
to kabhi kanton se bhaara raasta hai zindagi,
kabhi phulon jaisi masoom hai zindagi,
to kubhi gunahon ka bojh hai zindagi
koi to bata de mujhe kya hai zindagi ?

Yaar jo mila

Yaar jo mila dil jala kar gaya,
Khak me meri hasti mila kar gaya,
Naaz uski wafa par mujhe tha magar,
Teer wo bhi jigar par chala kar gaya,
Dhundte the kabhi jo mujhe har gali,
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya,
Manta tha sahara jo har dam mujhse,
Besahara mujhe wo bana kar gaya,
Neend aagosh me jiski aane lagi,
Maut ki neend mujhko sula kar gaya,
Aarzu thi yaaro jiski ki mujhe,
Khwab mere wahi to mita kar gaya.

unke liye...


Khile gulab ka murjhana bura lagta hai,
mohabbat ka yun bichhad jana bura lagta hai,
phasle mitana achchhi baat hai,
par kisi aur ka unke kareeb jana bura lagta hai,
yun to chalti hai roz hawa fizaon me,
par uska unko chhu kar gujarjana bura lagta hai,
unki hasi hai humein jaan se pyari,
par unka kisi ko dekhkar muskurana bura lagta hai,
intjar me unke bita denge sari zindagi,
lekin unka yun milkar bichhad jana bura lagta hai,
keh to dete hai hum roz beraham unko,
par kisi aur ka unpar iljam lagna bura lagta hai,
wo naam tak na len mera zindagi bhar gam nahi,
par na jane kyun unke labo par kisi aur ka naam aana bura lagta hai.