Friday, 30 May 2014

TERE PAAS NAHI


Pichhli raat ki baat thi,
Tanhai aur teri yaad thi,
Chand ne kaha koun hai?
Maine kaha koi sath nahi,
Bola zindagi kaisi hai?
Maine kaha koi khas nahi,
Bola fir kya chahte ho?
Maine kaha koi aas nahi,
Bola tumne pyar kiya hai?
Maine kaha kuchh yaad nahi,
Bola tumhare sath dhokha huaa hai?
Maine kaha aisi koi baat nahi,
Bola fir ek baat kahu?
Maine kaha koi etraj nahi,
Bola tumne pyar kiya hai,
Aur woh is samay tere paas nahi...

Thursday, 22 May 2014

लौट आना/ Lout Aana

Jab kabhi tera dil ghabraye to lout aana,
Agar tujhe meri yaad aaye to lout aana,
Kuchh waqt achchha gujra tha sath tere,
Wo waqt tujhe yaad aaye to lout aana,
Ek pal me dost ban gaye the hum,
Kabhi wo pal yaad aaye to lout aana,
Tanha raato me dhadka karte the dil,
Kabhi dil ki dhadkan tez ho jaye to lout aana,
Chupke-2 sari raat bate kiya karte the,
Wo bate kabhi yaad aaye to lout aana,
Log yahan sath nahi dete dil walo ka,
Jab koi bhi sath na de tera to lout aana.....

Wednesday, 21 May 2014

NAHI DEKHA


Hotho pe hasi dekh li par dil ke andar nahi dekha,
Aapne mere ke gamo ka samunder nahi dekha,
kitni khubsurat hai duniya ye dekha hai aapne,
Ji ji kar marne walo ka manjar nahi dekha,
Shishe ka makan to aapne bana liya hai dost,
Lekin waqt ke hatho ka patther nahi dekha,
Rishto ke tutne ka dard tum kya jano,
Wo lamha tumne kabhi ji kar nahi dekha,
Bhatakte hai roshni ki talash me jane kaha kaha,
Afsos apne ruh ke andar nahi dekha..

Tuesday, 20 May 2014

दवा लगती है।

Badli badli si jamane ki fiza lagti hai,
Raat bhi aaj ki aur raato se juda lagti hai,
Bhini bhini jo aati hai meri khidki se,
Mujhko ye tere shahar ki hawa lagti hai,
Roj mai ek naye tufan ki sair karta hun,
Dekhiye kis ki aaj mujhe dua lagti hai,
Log kahte hain ki wo aam si surat hai,
Par mujhe to sare jamane se juda lagti hai,
Jahar bhi de to mai pee jaun tasalli se,
Unke hatho se har cheez dawa lagti hai...

Monday, 19 May 2014

maaf karna


Hui hai mujhse khata,
Ho sake to mujhe maaf karna,
Hona chahta hun is duniya se lapata,
Ho sake to mujhe maaf karna,
Is akelepan ke andhere me kahin
 gum na ho jaun isliye ja raha hun,
Ho sake to mujhe maaf karna,
Koi sikwa shikayat ho mujhse to,
Ho sake to mujhe maaf karna.